Thursday, October 20, 2016

Saccha jivan kya hai ?

Jo vyakti har pal apne prati imandar rehta hai,vastab mai wahi saccha jivan jiita hai.
sant kabirdas ji ne kaha hai ki iswar ne jis tarah pavitr atma ke sath apko prarthvi par bheja tha,thik usi tarah unhe de dena,bina kisi daag ke.

Yeh tabhi sambhab hai jab vyakti apne liye nahi,balki bhgwan ke liye kaam kre.
Jo vyakti iswar ko kabhi nhi bhulta or sadeev apne kartvyo ko nisthapurvak nibhata hai or Badle me jo mil jaye usi me santusth ho jata hai wahi saccha or shukhi hai.
Gootam budh ne kaha ki kami vyakti anek bar marta hai.

Jitni kamna utni bar mratyu.
Manusy ki har kamna ek janm ban jati hai,sath hi har kamna ek mratyu bhi ban jati hai.
Yahi karan hai ki anek rajao or mahapurso ne apne veebhav ka tyag karke sukh ki talash me sanyash le liya.

SANTOSH JIVAN HAI OR ASANTOSH MRATYU

Santosh ka matlab hai ki apne karm ko pure utsah se karna or usse jo bhi fal mile usse santusth ho jana hai.

Manusya ka sabse bada mitr or sabse bada dusman uske vichar hi hai.
Manusya ko yeh janna-samjhna hota hai ki kon sa vichar uska mitr hai or kon sa vichar uska satru hai.

Sakaratmak vichar apne sath kai dosto ko lata hai or Nakaratamak vicharo wala vyakti dusmano se ghir jata hai.
Asal me sabhi log jivan ko apne apne nazariye se dhekhte hai.
Koi kehta hai ki jivan ek khel hai, koi kehta hai ki jivan iswar ka diya hua uphar hai, koi kehta hai ki jivan ek yatra hai, koi kehta hai ki jivan ek door(दौड) hai.

Kehne ka tatparya yahi hai ki hum jis najariye se jivan ko dhekhege, hamara jivan vesa hi ban jayega.

Lekin saccha jivan wahi ji sakta hai jo apne janm or mratyu ke bicch ke samay ko bharpur hasy or prem se bhar de.
Aksar manusy apne Bavisya or atit ke bare me sochta rehta hai or is cakkar me wo vartman ki koi parwah nahi karta, jabki jivan vartman me hi hai.
Agar atit me manusy se koi galti hui bhi hai to use us galti se sabak lekar apne vartman ko sahi dang se jine ke layak banana cahiye.

Manusy ko bavisya me ane wale sankato ko dhekkar ghabrana nahi cahiye.

Vartman ko anandit banane ke liye manusy ko koi bhi kary(work) suru karne se pehle uske sabhi pehluo par goor kar lena cahiye.

Ese hi ache ache vicharo ko padhne ke liye apna email address ragister karo apko har ek post apke email par sabse pehle pahuch jayegi or dosto agar apko meri ye post achi lagi ho to apne friends me jarur share kare or koi sujaw ho to muje  comment karke bataye.

1 comment: